Tag Archives: Kabhi zid mein

Kabhi Khud Ko Sab Ka Bana Diya – Poetry

Kabhi Khud Ko Sab Ka Bana Diya
Kabhi zid mein tere ho gaye,
Kbhi dil ne tujhy Ganwan diya,
Isi kashmakash mein rahe sada,
Tu ne yaad rakha ya bhula diya,
Kabhi Be-Basi mein hans diye,
Kabhi hansi men hum ko rula diya,
Kabhi phool si rahi dosti,
Kabhi haath kaanton se mila liya,
Kabhi aik ko apna na ker sake,
Kabhi khud ko sab ka bana diya.