Tag Archives: shair o shairi sms

Yeh Aarzu thi k Aisa Bhi Kuch Huwa Hota – Poetry

Yeh Aarzu thi k Aisa Bhi Kuch Huwa Hota
Yeh Aarzu thi k aisa bhi kuch huwa hota,
Meri Kami nay , Tujhey bhi Rula dia hota,
Main Laut Aata Teri Simt Ek Lamhain main,
Tere Labon nay Mera Naam to Lia hota

Kal Halki Halki Barish thi – Poetry

Kal Halki Halki barish thi,
Kal halki halki barish thi,
kal sard hawa ka raqs bhi tha,
Kal phool bhi nikhray nikhray the,
Kal un main app ka aqs bhi tha,
kal badal gehray kaale the,
Kal chand pe laakhon pehre the..
Kuch tukry app ki yaadon ke,
Bari dair se dil main thehre the..
Kal yaadien uljhi uljhi thien,
Aur kal tak yeh na suljhi thien..
Kal yaad buhat tum aye the..
Kal yaad buhat tum aye the..

Sar Jhukany Ki Adaat Nai hy – Peotry

Sar Jhukany Ki Adaat Nai hy
Sir jhukaany ki aadat nahi hay,
Aansoo bahaany ki aadat nhi h,
Hm kho gaye to pachtao gay bohat,
Hamaari Lout k Aany ki aadat nahi hay,
Terey dar pay Muhabbat k sawali ban jaaty,
Lekin Haath phelaany ki aadat nahi hay,
Teri yaaden aziz hen bohat,
Magar Waqt ganwaany ki aadat nahi hay,
Tum sakht Dil nikle kya gila kren hum,
Shikwa -e-dil lab py laany ki aadat nahi hay,
Bad dua b kya kren HAQ men tumhaary?
Hamain to Dil b dukhaany ki aadat nahi hay

Juda Hony Ka Andeesha – Poetry

Juda Hony Ka Andeesha

Juda hone ka andesha juda honE se pehle tha,
Wo mujh se intehai khush khAfa hone se pehle tha,
Junoon ka doar guzra to mujhe b bhool betha wo,
Namaz-e-ishq tha lekin, qaza hone se pehle tha,
Main kese soch sakta tha mujhy wo chor jayega,
Bohat hi bawafa wo bewafa hone se pehle tha

Kisi Roz Tum ko Bhe Meri Bohot Yaad Aai Gee – Poetry

Kisi Roz Tum ko Bhe Meri Bohot Yaad Aai Gee
Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee,
mager us din bohot daer ho jai gee ,
tum milna chaho gee mager mujh ko daikh na pao gee,
tum dhoondo gee mujhe mager daikh na pao gee,
tum tarpo gee meri yaad main or aansoo bahao gee.
mujhe daikhe bina ik pal bhe na reh pao gee.
meri yaad main tum gum sum ho jao gee,
khud apni gali ka pata bhe bhool jao gee,
mere tasauwur main tum aise kho jao gee,
koi pukare ga tum meri hi bataen dohrao gee,
or main door khara teri baychaini ko daekhta rahoon ga,
or tum kuch pal ke liye mujh se khafa ho jao gee,
or main teri bikhri zulfoon ko sunwaroon ga,
or tum sharma kar mere gale se lag jao gee,
or phir jab tum rooth kar kaheen door chali jao gee,
us din me phir tum se yahee baat kahoon ga,
kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee.

Sab se Chupa kar Dard Jo Woh Muskura Diya – Poetry

Sab se Chupa kar Dard Jo Woh Muskura Diya
Sab se Chupa kar Dard Jo Woh Muskura Diya
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya
lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya
aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya
jane kya us ko logon sey thein shikayatein
tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya
khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya

Inthikaabh KaArna hy – Poetry

Inthikaabh KArna hy

Be-khuloos logon se
Ijtinab karna hay
Mujhy apne rishton ka
Ehtisab karna hay
Usay bhool jana hay ya
Usay yaad rakhna hay
Dukh tou ek jesa hay bs
Intikhab krna hay

Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa – Poetry

Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa Deh Mujh Ko
Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa Deh Mujh Ko
Ungliyaan phair Ke BAloon Main Sulla Deh Mujh Ko
Jis Tarah Faltu Guldaan Paray Rehtay Hain
Apne Ghar Ke Kisi Konay Se Lagga Deh Mujh Ko
Yaad Kar Ke Mujhe Takleef He Hoti Hogii
Aik Kissa Hoon Purana Sa Bhulla Deh Mujh Ko
Doobtay Doobtay Awaaz Teri Sunn Jaoon
Akhiri Baar Tu Sahil Se Sadah Deh Mujh Ko
Main Tere Hijr Main Chup Chaap Na Marr Jaoon Kahin
Main Hoon Saktay Main Kabhii Aa Ke Rulla Deh Mujh Ko
Dekh Main Hogaya Badnaam Kitaboon Ki Tarah
Merii Tasheer Na Kar Ab Tu Jalla Deh Mujh Ko
Rhootna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai
Aesay Naraaz Na Ho Hans Ke Dekha Deh Mujh Ko
Aur Kuch Bhi Nahi Manga Mere Malik Tujh Se
Us Ki Galiyoon Main Parii Khaak Banaa Deh Mujh Ko
Log Kehtay Hain Ke Yeh Ishq Niggal Jata Hai
Main Bhi Is Ishq Main Aya Hoon,Dua Deh Mujhe Ko
Yahi Okaat Hai Meri Tere Jeevan Mein Ke Main
Koi Kamzoor Sa Lamha Hoon, Bhulla Deh Mujh Ko

Taaro ne Chamkna Chor Diya – Poetry

Taaro ne Chamkna Chor Diya

Jis din se juda vo humse hue,
is dil ne dharkna chor diya
hai chaand ka mooh bhi utra utra,
taaro ne chamkna chor diya

Ghazal – Poetry

Ghazal

Kamzoor badbaan hay, hawa taiz kia karain
Aa apni kashtiyon ko supurd-e-khuda karain !

apni tabahiyon main hi jub apna haath ho
phir dhushmano k waastay kiya bad-dua karain

Shaki-e-namurad ko tarsaya umer bhar
Ham say chahta tha k hum iltija karain

Hamnay yun ghurbaton main raat bitayee hay sanam,
Bhookay faqeer ko ab rukhsatzada karain

Duniya teray faraib say jobach k nikle
To sahiloon pay hum bhi namazain ada karain

Ankhoon ankhoon may – Poetry

Ankhoon ankhoon may

Guzar gaee raat aankhon aankhon main
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main

Sadiyoun say piyaasi thee mohabbat
Ho gaee bersaat aankhon aankhon main

Mil na saka tha dil kabhi dil say
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main

Ahad-e-wafa or qasmoon ki bhi
Ho gaee shuruaat aankhon aankhon main

Day diya dil aik doojay ko
Ho gaee soghaat aankhon aankhon main

Sab rasmoon riwajoon ko Saqi
Ho gaee maut aankhon aankhon main

Apna Ehsas mar na jaye kahin – Poetry

Apna Ehsas mar na jaye kahin

Apna Ehsas mar na jaye kahin
Dard had se Guzar na jaye kahin
Un ko dekhey hoye hoi Sadyan
Un ka Chehra bikhar na jaye kahin
Ab k Awaz doon to aa jana
Dil Deewana Sudhar na jaye kahin
Un ka Wada to hai magar Dil ko
Darr hai k kafir mukar na jaye kahin
Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey
Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahin
Meri Dunya hai Dard ki Surat
Gul ki Surat Nikhar na jaye kahin
Khak se Aab tak to aa pohnchey
Ab yeh Darya Utar na jaye kahin
Yeh Mohabbat b ek Bala theri
Hum ko Darr hai wo Darr na jaye kahin
Is liye Muskuraye phirta hoon
Un ki Aankh b na bhar jaye kahin
Dil se guzra to hai magar Saqi
Apni Jaan se guzar na jaye kahin

Faqat Woh Phool Chun Lena – Poetry

Faqat Woh Phool Chun Lena

Kabhi Jo Ho Guzar Tera
Wafaon Ke bageche se,
Faqat Woh Phool Chun Lena,
Jinhai Hasrat Tumhari Hai.

Koi Anjana Aa Ke – Poetry

Koi Anjana Aa Ke

Koi Anjana Aa Ke
Mujhe Jaan Kar
Phir anjaan Ban Gaya
Muje Khud Mein Basa Ker
Khud Se Begana Bana Ker
Phir Se Anjaan Ban Gaya