Tag Archives: Quotation
Saying Sorry………
Saying Sorry………
MAFI magna yah zahir nahi karta ka ap galat ho or dosra sahi hai.
balky ye zahir karta ha ka ap ka RISHTY ki ahmiyat ap ki ANAA sa bhar kar ha
Milna Itefaq Tha Bicharna Naseeb Tha – Poetry
Milna itefaq tha bicharna naseeb tha
Milna itefaq tha bicharna naseeb tha,
Wo itna dor howa jitna kareeb tha,
Use dekhne ko tarasti rahi aankhein,
Jis shakhs k haaton mein mera naseeb tha……

Yeh arzoo nahi ke kisi ko bhulayen hum – Poetry
Yeh arzoo nahi ke kisi ko bhulayen hum
Yeh arzoo nahi ke kisi ko bhulayen hum,
Na tamanna ke kisi ko rulaye hum,
Par dua hai us RAB se,
Jisko jitna yaad kerty hai,
Usko utna yaad aye hum….
Tute hue ghum ko tukre jurh nahi paate – Poetry
Tute hue ghum ko tukre jurh nahi paate
Tute hue ghum ko tukre jurh nahi paate,
Dil mein ho dagh to dhul nahi paate,
Takleef tab nahi hoti jab wo yaad nahi kartye,
Takleef tab hoti hai jab hum unhe bhool nahi paate
Phir Chale Jana – Poetry
Phir Chale Jana
Sakoot-E-Jaan ka matlab bata do
PHIR CHALE JANA.
Ya phir sargoshiyan dil ki sunado
PHIR CHALE JANA.
Jo mera or tumhara waqt guzra hansne rone main,
Use poori terhan se tum bhula do
PHIR CHALE JANA.
Na jane kaun hai lekin dekhne ki TUMKO aadat hai,
PHIR CHALE JANA.
Mere in Roz-O-Shab ka faqat unwan :TUM” ho,
Mujhe tum dosre unwan la do
PIR CHALE JANA.
Shamil Jo Muhabbat Mein Aziyet Nahi Hoti – Poetry
Shamil Jo Muhabbat Mein Aziyet Nahi Hoti
Shamil jo muhabbat mein aziyet nahi hoti
Ay dil kabhi Teakmeel-e-Muhabbat nahi hoti
Jab hosh na ho sar ka, Woh hoti hai ibadat
Sar side mein rakhne se ibadat nahi hoti
Kuch apne hain, Gairon ki shikayat nahi hoti
Jaan dena hai shok to phir sunn le
Maqtal main tarapne ki ijazat nahi hoti
Kuch To Rehny De Meri Zaat Pe – Poetry
Kuch To Rehny De Meri Zaat Pe
Diye hein zakham to……..
Marham ki takaluf na ker,
Kuch to rehny de meri zaat pe
Ehsaan apna.
Mujhy Teri Qurb Ki Khuwahish – Poetry
Mujhy Teri Qurb Ki Khuwahish To Hai Magar
Mujhy teri qurb ki khuwahish to hai magar,
Ulfat ka jo maza hai woh inhi faslon mein hai.
Piyar Naam Hai Sukh Dukh Ki Kahani Ka – Poetry
Piyar Naam Hai Sukh Dukh Ki Kahani Ka
Piyar naam hai sukh dukh ki kahani ka,
Piyar raaz hai sada muskurany ka,
Yeh koi pal do pal ki parchai nahi,
Piyar to farz hai umer bhar saath nibhany ka.
Tere Wajood Se Wabestagi – Poetry
Tere Wajood Se Wabestagi
Tere wajood se wabestagi tooti thi na tooti haina toote gi kabhi,
Main apni zaat se munkir to ho sakta hoon teri muhabbat se nahi.
Jo Mila Nahi So Mila Nahi – Poetry
Jo Mila Nahi So Mila Nahi
Mujhe Roz-e-Shab ke khitab mein,
Koi aisa harf na mil saka,
Jise Misl-e-Gul ka khitabb doon,
Jise Chandni ki si taab doon,
Jise dhoond ker jise khoj kar,
Rukh_E_Aasmaan pe saja bhi doon,
Mere Khoon-e-Dil ke nigarshen,
Meri rooh tak ki fishaar bhi,
Yahan Ilm-o-Fun ke dukan par,
Baray sasty damon se bik gaye,
Mujhe torkar mujhy phhor kar
Mere doston ne jala diya,
Rah-e-Zindagi ki gubar men,
Meri Raakh tak ko urha diya,
Mujhy phir bhi koi gila nahi,
Jo mila nahi so mila nahi.
Aisa Koi Tum Bhi – Poetry
Aisa koi tum bhi……..
Aisa koi tum bhi
Mojza kar do,
Meri har hasraton har aarzo ko
Fana kar do,
Ya to wafaon ka dars
Tum bhi seekh lo,
Ya to apni terha mujhy bhi
Bewafa kar do.
Na Tum Se Milte Na Aise Hote – Poetry
Na Tum Se Milte Na Aise Hote
Tarap rahi hai har e tamanna,
Na tum se milte na aise hote.
Bujhi bujhi si hai dil ki duniya,
Na tum se milte na aise hote.
Hum aisi mehfil mein kesy jayen,
Jahan ke manzer hamein jalayen.
Ager hai jalna to jalen ge tanha,
Na tum se milte na aise hote.
Na chain aaye na mout aaye.
Na jee rahy hain na mar rahy hain,
Kahan tha pehle ye haal apna,
Na tum se milte na aise hote.
Dil ki Rag Rag – Poetry
Dil ki rag rag nechor leta hai
Dil ki rag rag nechor leta hai,
Ishq mein ye bari museebat hai.
Dard Hota Nahi Duniya Ko – Poetry
Dard hota nahi duniya ko dikhane k liye
Dard hota nahi duniya ko dikhane k liye,
Har koi rota nahi aanso bahane k liye.
Roothne ka maza to tab ata hai,
Jab koi apna ho manany k liy.
Pata Nahi Kiyon? – Poetry
Pata Nahi Kiyon
Khuwab bikher jate hain dheere dheere,
Sare log bichar jate hain dheere dheere,
Zabt karo to behter hai warna,
Aansoo zor paker jate hain dheere dheere,
Jitne pas hum kisi k hoty hain,
Utne fasle barh jate hain dheere dheere.
Muhabbat Nahi Uski Aadat Hota – Poetry
Kash Main! Muhabbat Nahi Uski Aadat Hota
Barson baad bhi uski aadat na badli bewafai ki,
Kash main! Muhabbat nahi uski aadat hota.
Tumhen Pana Bhi Mushkil Hai – Poetry
Tumhen Pana Bhi Mushkil Hai
Muhabbat ka irada ab
Badal jana bhi mushkil hai,
Tumhen khona bhi mushkil hai,
Tumhen pana bhi mushkil hai,
Udasi tere chehre ki gawara bhi nahi lekin,
Teri khatir sitare tor ker lana bhi mushkil hai,
Zara si baat per aankhen bhigo ker baith jaty ho,
Tumhen to apne dil ka haal batana bhi mushkil hai.
Kabhi Pooch Ker Dekho – Poetry
Kabhi Pooch Ker Dekho
Kabhi pooch Ker dekho Mujh se apni Yaadon ka alam,
Sari sari raat Sitaron se Tera ziker Kia karte hain.
Kabhi Khamooshi Bhi – Poetry
Kabhi Khamooshi Bhi
Kabhi khamooshi bhi…. Bahut kuch Keh jati hai,
Tarapne k liy Sirf yaaden Reh jati hai.
Kiya fark perta hai…. Dil ho ya koyela,
Jalne k baad sirf RAAKH reh jati hai.
Main Ne Dil Ki Deewar Par Likha
Main Ne Dil Ki Deewar Par Likha
Main ne dil ki deewar par likha:
Andar ana mana hai.
Muhabbat muskurati hoi aai,
Dil ke darwaze per kadam rakha
Aur kehne lagi;
Muaf kerna, mein unperh hoon.
Kash Mujhy Maloom Ho Jae – Poetry
Kash Mujhy Maloom Ho Jae
Kash mujhy maloom ho jae
Teri soch ka mehwer,
Mein khud ko tarashon
Tere Andaz-e-Nazar se.
Humain Bhulane ka Jis Waqt – Poetry
Humain bhulane ka jis waqt faisla kerna
Humain bhulane ka jis waqt faisla kerna
Phir apni aankhon se
Khuwaboon ko bhi riha kerna
Bus ik tum ho jisy dil ki baat kehte hain
Humari baaton ka na sub se takaza kerna
Chune hain hum ne kuch ajnabi raaste
Jo ho sake to hamare liy DUA kerna
Tamam din ki thakan utharny k liye
Zara se der yaad ker liya kerna
Ager judaai ka pooche koi sabab tum se
To hum pe nit naye ilzam dhar liya kerna
Hum aise qabile mein reh rahy hain
Jahan logon ne seekha nahi wafa kerna.
Kabhi Khud Ko Sab Ka Bana Diya – Poetry
Kabhi Khud Ko Sab Ka Bana Diya
Kabhi zid mein tere ho gaye,
Kbhi dil ne tujhy Ganwan diya,
Isi kashmakash mein rahe sada,
Tu ne yaad rakha ya bhula diya,
Kabhi Be-Basi mein hans diye,
Kabhi hansi men hum ko rula diya,
Kabhi phool si rahi dosti,
Kabhi haath kaanton se mila liya,
Kabhi aik ko apna na ker sake,
Kabhi khud ko sab ka bana diya.
Jo Sirf Usi Ka Tha – Poetry
Jo Sirf Usi Ka Tha
Thukra ke usne mujh ko,kaha muskuraane ko!
Main hans diya kyon ki , sawal uski khushi ka tha.
Maine khoya woh jo mera tha hi nahi,
Usne khoya wo jo sirf usee ka tha..
Baat Karte Hain Takalluf se – Poetry
Baat karte hain takalluf se jahan milte hain
Baat karte hain takalluf se jahan milte hain
Ab woh Pahle ki tarah hum se kaha milte hain
Q tere shahar me rone nahi deta koi
Kya tere shahar me aanso bhi giran milte hain